SINDHI PULAO
سندھی پلاؤ
Ingredients
- Gosht (3 pao)
- Chawal (1/2 pao)
- Dahi (1/2 pao)
- Garam masala (1 tea chamach)
- Adrak , Lasaan [pissa hwa] (1 tea chamach)
- Namak (2 tea chamach)
- Tamatar (1/2 kilo)
- Tail / Ghee (1 cup)
- Hari mirach pesii hoi (1 khane ka chmach)
- Hara dhanya pessa hoa (1 khane ka chmach)
- Aloo bhokhara (4 se 9 )
- Kewra (hasb e zarorat)
- Lal mirach (hasb e zaika)
- Aloo (1/2 kilo)
- Piaz (1 pao)
- Zarde ka rang (1 tea chamach)
RECIPE
Tail / Ghee Garam Karain . Kati hoi Piaz Frai Kar ke Nikalen . Ab Isy Tail / Ghee Me Gosht Daal Kar Bhonne . Ab Namak , Adrak , Lassan , Lal Mirach , Aloo Bhokara , Hara Masala aur Timatar Dalen . Ache Tarha Bhonne . Itna Paani Dalen Ke Gosht Gaal Jai . Jab Gosht Gaal Jai Too Dahii Aur Piaz Daal Kar Bhone Ke Piaz Khoshk Ho Jai . Aik Frai Pain Me Aloo Kaat Kar Tail Aur Gosht Mee Dalen . Chawal Obaal Lai . Aik Taih Chawal Ki Bichai . Opar Gosht Dalain . Hara Masala Dalain . Isy Tarha Sare Chawal Aur Gosht Ki Taih LAgai . Akhir Mee Kewraa Aur Zarde Ka Rang Dalain . 1/2 Kaap Ghee Aur Daam Par Raakh Dain . Aur Sindhi Biryani Tiar . And Enjoy Karain
Bagikan
Sindhi Pulao
4/
5
Oleh
Unknown